My Tribute to the Legend – Irrfan Khan

Jiske gaali par bhi parti thi taali,
Jo kehta,
“Izzat aur zillat
apne haath mein nahi saali”,

Palatne par jisne kiya
Kismat ko majboor,
Woh tha hamara naaz,
Hamara guroor,

Jisne sikhayi hame
Mohabbat ki ahmiyat,
“Zidd hoti toh baahon mein hoti”,
Keh gaya jo,
De Khuda usse rehmat,

Kehta jo,
“Aap jism, main rooh”,
“Tere amma ne jiske baare mein nahi bataya
Main tera woh baap hoon”,

Sharafat ki duniya ka kissa kar khatam,
Kaha jisne,
“Jaisi duniya waise hum”,
Kar gaya woh
Aaj aankhon ko num,

Jo usne kaha
Shayad hi tab samjhe hum,
Par ab jab samjhe hai
5,10,15 saal baad
Gahara hai khone ka gum…

– Swati Prakash

9 Replies to “My Tribute to the Legend – Irrfan Khan”

    1. RIP Irrfan
      Yet again pleasantly surprised to see the versatility and range in the content you post.
      More power to you!!!

      1. Thank you so much, Parag! Keep reading and being versatile in your reviews too! πŸ˜Œβ€οΈπŸ’œπŸ™Œ

  1. Well said..

    We all wanted him to keep on entertaining us. Per yeh ho na saka. πŸ˜”

  2. Well penned ….
    RIP to the wonder artist with great talent..

  3. This such a very well worded tribute to huge loss. RIP Irrfan!

Leave a Reply